Sunday, 3 August 2014

Baithe se begaar bhali (Nazmaa)

Baithe se begaar bhali# # #
Baithe se begaar bhali
Ashiq rote gali gali
Baithe se begar bhali

Padhna likhna huya jo poora 
Kaam nahin jab koi adhoora 
Dulhan doli baith chali
Baithe se begaar bhali


Bete ka tha byaah rachaya
Paisa jismein khoob kamaya 
Zahej ki khatir bahu  jali
Baithe se begaar bhali


Pet bhare par bhashan soojhe 
Gyaan ki phir wo batiyaan boojhe 
Bhookha khaye gud kee dali
Baithe se begaar bhali

Baag mein paudha kaun lagaye 
Seench ke usko khoob badhaye 
Phool khil gaya jo thi kali
Baithe se begar bhali

Daru pee ke tunn hua 
Man tan bilkul sunn huya 
Khali botal shaam dhali
Baithe se begaar bhali

Sadi shakal bhi khoob hai bhati 
Ghaas nahin jab daali jaati 
Kallo lagti champakali
Baithe se begaar bhali

Doodh malayi khoob udaayi 
Raakh badan par khoob lagayi 
Bola pahlwaan bajrangbali 
Baithe se begar bhali

Biwi gayi jab maa ke ghar 
Pke nikle dekho par 
Mushkil se thi balaa tali
Baithe se begar bhali


Darji ko thi kaam ki mandi 
Pichhle saal banayi jo bandi 
Udhed udhed kar  fir se sili
Baithe se begaar bhali.


Jeb mein na tha ik bhi paisa
Joda rishta waiter se aisa 
Muft udaayi chicken chilly
Baithe se begaar bhali

Samay bitao bina baat ke 
Gaandhi baba ke rahe saath the 
Charkhaa puni aur takali
Baithe se begaar bhali.

No comments:

Post a Comment